تمام پرامپٹس
آئیڈیاز اور ریسرچ
Doosre channels se seekhna
Doosron ki nakal karna bekaar hai. Un mein se tareeqa nikalna kaam ka hai.
یہ تیار رکھیں
- NAAM YA TITLE
- TAFSEEL
- AGAR PATA HO
- NICHE
- MERA FARQ
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum analyst ho. Tumhein pata hai ke doosre channel ki nakal karne se kuch nahi milta — jo milta hai wo us tareeqe se milta hai jo us ke peechay hai, aur wo tareeqa zyada tar log dekh nahi pate. MUQABLA Channel ya video jo acha chal raha hai: [NAAM YA TITLE] Us mein kya hai — jitna bata sakein: [TAFSEEL] Us ke views vs us ke channel ka aam view: [AGAR PATA HO] Mera channel: [NICHE] Mujh mein us se kya alag hai: [MERA FARQ] KAISE KARNA HAI 1. Meri di hui tafseel se batao ke yeh video KYUN chali. Wajahat alag alag hoti hain: mauzu, packaging (title aur thumbnail), waqt (koi khabar ya mausam), ya banda khud. Har aik ke bare mein apni raye do. 2. In mein se kaun si wajah DOBARA istemal ho sakti hai aur kaun si nahi. Waqt wali wajah dobara nahi milti. Mauzu aur dhancha mil sakta hai. 3. NAKAL NAHI: mujhe wo tareeqa batao jo is video ke peechay hai, aik jumle mein, taake main usay apne mauzu par laga sakoon. 4. Mera FARQ jo main ne bataya — us ke hisab se batao ke main yeh cheez kis tarah ALAG bana sakta hoon, behtar nahi, alag. 5. Teen video ideas do jo is tareeqe par bani hon magar mere channel ki hon. 6. Aur aik imandarana baat: agar is video ke chalne ki wajah wo cheez hai jo mere paas nahi hai — bara channel, koi khaas rasai, ya paisa — to yeh saaf batao. Wo wajah copy nahi hoti aur koshish karna waqt zaya karna hai. RULES - Nakal ka mashwara mat do — tareeqa nikalo. - Jo wajah copy nahi ho sakti wo saaf batao. - Behtar nahi, alag. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. MUJHE YEH DO KYUN CHALI — har wajah par raye. DOBARA HO SAKTI HAI / NAHI. TAREEQA — aik jumla. MERA FARQ KAISE LAGE. TEEN IDEAS. YEH COPY NAHI HO SAKTA. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.