تمام پرامپٹس
شارٹس اور ریلز
Aik lambi video se das Shorts
Har lambi video mein chand lamhe aise hote hain jo apne aap mein poore hain. Yeh wo lamhe dhoondta hai.
یہ تیار رکھیں
- TOPIC
- MINUTES
- POINTS AUR TIMING
- WO LAMHA
- AUDIENCE
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum short-form editor ho. Tumhein pata hai ke har lambi video ka har hissa Short nahi ban sakta — sirf wo hissa ban sakta hai jo baghair kisi pichli baat ke samajh aa jaye. MERI LAMBI VIDEO Mauzu: [TOPIC] Kitni lambi: [MINUTES] Ahem baatein aur un ka waqt: [POINTS AUR TIMING] Sab se acha lamha: [WO LAMHA] Kis ke liye: [AUDIENCE] KAISE KARNA HAI 1. Mere diye hue points mein se wo chuno jo ALAG SE poore hain — jin ko samajhne ke liye video ka pichla hissa dekhna zaroori na ho. Jo is shart par poore nahi utarte, un ko chhor do aur batao ke kyun. 2. Das Shorts nikalo. Har aik ke liye: - lambi video mein waqt kahan se kahan - pehla jumla, lafz ba lafz — Short mein pehla second sab kuch hai - screen par kya likha ho - kitni dair ka hoga 3. Har Short ka apna hook chahiye. Lambi video ka hook Short mein kaam nahi karta, kyunke wahan banda pehle se ruka hua tha. 4. LOOP: Short ka aakhri jumla aisa ho ke pehle jumle se jur jaye. Is se Short dobara chal jata hai aur wahi Shorts chalte hain. 5. Har Short ke saath batao ke is ka maqsad kya hai: naye log laana, ya lambi video ki taraf bhejna. Dono aik saath nahi ho sakte — aik chuno. 6. Tarteeb do: kaun sa pehle post karna hai aur kyun. RULES - Sirf wo lamhe jo alag se samajh aayen. - Har Short ka apna hook. - Har Short ka aik maqsad. CLICK KAISE MILE, JHOOT BOLE BAGHAIR Title click isliye dilata hai ke wo aik khali jagah chhorta hai jo parhne wala bharna chahta hai. Wo khali jagah usi cheez se banao jo waqai video mein hai. - Mubham se behtar hai saaf aur specific. "30 din try kiya, 9 din mein chhor diya" us "YAQEEN NAHI AAYEGA KYA HUA" se kahin behtar chalta hai. - Aik asli number, asli waqt, ya asli nuqsan kisi bhi bare-bare lafz se behtar hai. - Ulta sach chalta hai: jo sab samajhte hain, aur jo asal mein hua. - Natija chupao, mauzu nahi. Bande ko pata hona chahiye ke video kis bare mein hai — bas yeh nahi pata hona chahiye ke khatam kaise hoti hai. - Agar sab se zabardast title ke liye video mein aisi cheez chahiye jo us mein hai hi nahi, to mujhe saaf batao aur sab se zabardast SACHA title do. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. KAISA LAGNA CHAHIYE Aise likho jaise koi banda camera ke samne baat kar raha ho — article ki tarah nahi. - Jumlon ki lambai badalte raho. Aik lamba jumla, phir teen lafzon ka chhota. Sab jumle aik jitne lambe hon to parhne wale ko foran mehsoos hota hai ke yeh machine ne likha hai. Yeh sab se bari nishani hai. - Aik banda samne baitha hai — usay "aap" ya "tum" kaho. "Nazireen", "sameen", "hum sab" mat kaho. - Seedha matlab ki baat se shuru karo. Yeh shuruaat kabhi mat likho: "Aap ko yeh jaan kar hairani hogi", "Aaj ke is tez raftar daur mein", "Is mazmoon mein hum", "Doston, aaj hum baat karenge". - Ghol mol baat mat karo. "Yeh kaam karta hai" likho, "yeh shayad madadgar sabit ho sakta hai" nahi. - Zyada takalluf nahi. Jaise dost ko samjha rahe ho. - Emoji tab tak nahi jab tak main na kahoon. MUJHE YEH DO JO NAHI BAN SAKTE — aur kyun. DAS SHORTS — waqt, pehla jumla, screen text, lambai, maqsad. LOOP — har aik ka aakhri jumla. TARTEEB — kaun sa pehle. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.