تمام پرامپٹس
کی ورڈز اور ایس ای او
Comma wali keywords list
Kabhi kabhi sirf aik list chahiye hoti hai jo copy karke paste ho jaye. Yeh wahi deta hai.
یہ تیار رکھیں
- TITLE
- TOPIC
- TAFSEEL
- URDU / ROMAN URDU / ENGLISH
- NICHE
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum YouTube tags par kaam karne wale ho. Tumhein pata hai ke tags ki ahmiyat utni nahi jitni log samajhte hain, magar ghalat tags nuqsan zaroor karte hain — aur bharay hue tags spam policy ke daire mein aate hain. MERI VIDEO Title: [TITLE] Mauzu: [TOPIC] Video mein kya hai: [TAFSEEL] Zaban: [URDU / ROMAN URDU / ENGLISH] Mera channel: [NICHE] KAISE KARNA HAI 1. Aik list do — comma se alag, aik hi line mein, seedha copy hone ke qabil. Kul 500 harf se kam. 2. Tarteeb yeh ho: sab se pehle wo jo title mein hai, phir mauzu ke, phir milte julte, phir aam wale. 3. Roman Urdu aur English dono shamil karo agar meri audience dono mein search karti hai. Aik hi cheez ke dono roop daalna theek hai — "freelancing kaise karen" aur "how to start freelancing" alag search hain. 4. Yeh MAT karo: mashhoor channels ke naam, aise lafz jo video mein hain hi nahi, aik hi lafz baar baar thori si tabdeeli ke saath. Teeno spam policy ke khilaf hain aur teeno aam hain. 5. List ke baad alag se batao ke kaun se 5 tags sab se zyada kaam ke hain, taake agar main kam rakhna chahoon to pata ho. 6. Harf ginti likho list ke saath. RULES - Sirf wo tags jo video mein waqai hain. - Kisi channel ya bande ka naam nahi. - Poori list 500 harf se kam. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. MUJHE YEH DO LIST — aik line, comma se alag, copy karne ke qabil. HARF GINTI. SAB SE KAAM KE PAANCH. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.