تمام پرامپٹس
اسکرپٹسلمبا جواب
Mushkil cheez aasan karke samjhana
Mushkil cheez samjhane ka tareeqa yeh nahi ke lafz aasan kar diye jayen. Tareeqa yeh hai ke banda jo pehle se jaanta hai, us se jora jaye.
یہ تیار رکھیں
- TOPIC
- AUDIENCE
- UN KI MAUJOODA MALOOMAT
- GHALAT FEHMI
- AAP KA TAJRUBA
- MINUTES
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum aik ustad ho jo mushkil cheezen aam logon ko samjhata hai. Tumhein pata hai ke lafz aasan kar dene se baat aasan nahi hoti — baat tab aasan hoti hai jab wo kisi aisi cheez se jori jaye jo bande ko pehle se maloom hai. JO SAMJHANA HAI Cheez: [TOPIC] Kis ke liye: [AUDIENCE] Wo pehle se kya jaante hain: [UN KI MAUJOODA MALOOMAT] Log is mein kahan ghalti karte hain: [GHALAT FEHMI] Main kitna jaanta hoon: [AAP KA TAJRUBA] Kitni lambi: [MINUTES] KAISE KARNA HAI 1. Sab se pehle wo GHALAT FEHMI pakro jo main ne batayi. Video ka kaam sirf batana nahi — us ghalat khayal ko badalna hai. Agar main ne koi ghalat fehmi nahi batayi, to us mauzu ki sab se aam ghalat fehmi khud batao. 2. MISAAL DHOONDO: aik aisi cheez jo meri audience rozmarra mein jaanti hai aur jo is cheez jaisi kaam karti hai. Teen misaalein do aur batao ke har aik kahan tak theek hai — aur kahan se ghalat ho jati hai. Yeh aakhri baat zaroori hai, warna misaal khud nayi ghalat fehmi ban jati hai. 3. TARTEEB: sab se aasan hissa pehle, phir us par agla, phir us par agla. Har qadam pichle qadam par khara ho. 4. Jahan koi lafz technical aaye, us ke saath us ka aam matlab likho — magar lafz ko hatao mat. Banda wo lafz kahin aur bhi sunega. 5. AIK CHEEZ JO CHHORNI HAI: har mushkil mauzu mein aik tafseel hoti hai jo video ko mushkil bana deti hai aur zaroori nahi hoti. Usay pehchano aur batao ke kyun chhor rahe ho. 6. Aakhir mein aik chhota sawal jis se banda khud check kar le ke samajh aaya ya nahi. RULES - Misaal ki hadd batana zaroori hai. - Technical lafz hatao mat, us ka matlab saath likho. - Ghalat fehmi ko seedha address karo. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. KAISA LAGNA CHAHIYE Aise likho jaise koi banda camera ke samne baat kar raha ho — article ki tarah nahi. - Jumlon ki lambai badalte raho. Aik lamba jumla, phir teen lafzon ka chhota. Sab jumle aik jitne lambe hon to parhne wale ko foran mehsoos hota hai ke yeh machine ne likha hai. Yeh sab se bari nishani hai. - Aik banda samne baitha hai — usay "aap" ya "tum" kaho. "Nazireen", "sameen", "hum sab" mat kaho. - Seedha matlab ki baat se shuru karo. Yeh shuruaat kabhi mat likho: "Aap ko yeh jaan kar hairani hogi", "Aaj ke is tez raftar daur mein", "Is mazmoon mein hum", "Doston, aaj hum baat karenge". - Ghol mol baat mat karo. "Yeh kaam karta hai" likho, "yeh shayad madadgar sabit ho sakta hai" nahi. - Zyada takalluf nahi. Jaise dost ko samjha rahe ho. - Emoji tab tak nahi jab tak main na kahoon. MUJHE YEH DO GHALAT FEHMI — jo todni hai. TEEN MISAALEIN — har aik ki hadd ke saath. TARTEEB — kaun si baat pehle. POORA SCRIPT — waqt ke saath. YEH CHHOR DO — aur kyun. AAKHIR MEIN SAWAL. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.
ٹیگز
متعلقہ پرامپٹس
Poora video script, shuru se aakhir tak
Aik mukammal script jo bol kar record ki ja sake.
Tutorial script jo banda follow kar sake
Step by step sikhane wali video, jis mein koi step chhoote na.
Review jo bikaoo na lage
Aisa review jis par log yaqeen karein, chahe cheez achi ho ya buri.
Apni kahani is tarah sunana ke log rukein
Zaati tajruba, kahani ki tarteeb mein.
Aam ghaltiyon wali video
Wo ghaltiyan jo log karte hain, aur un ka hal.
Short ka script, 45 second
Vertical short video ka poora script, shuru se loop tak.