تمام پرامپٹس
ہکس اور آغازلمبا جواب
Video ka boring hissa dhoondna
Har script mein aik jagah hoti hai jahan log nikal jate hain. Yeh wo jagah pehle se pakarta hai.
یہ تیار رکھیں
- YAHAN PASTE KAREIN
- MINUTES
- AUDIENCE
- AGAR PATA HO
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum aik editor ho jo script parh kar bata sakta hai ke log kahan chhor kar jayenge. Yeh andaza nahi hai — kuch cheezen hain jo hamesha log ko bhagati hain, aur wo script mein nazar aa jati hain. MERA SCRIPT [YAHAN PASTE KAREIN] Kitni lambi video hai: [MINUTES] Kis ke liye: [AUDIENCE] Agar retention graph dekha hai to kya kehta hai: [AGAR PATA HO] KAISE KARNA HAI 1. Poora script parho aur har wo jagah nishan lagao jahan log nikal sakte hain. Yeh wajahat hoti hain: - lamba taaruf jis mein koi kaam ki baat nahi - aik hi baat doosri tarah se dobara - tafseel jo zaroori nahi - aisi baat jahan sun-ne wale ko lage ke "yeh to mujhe pata hai" - koi wada jo ab tak poora nahi hua aur banda intezar kar ke thak gaya 2. Har nishan ke saath batao ke KYUN — aur mere script se wo jumla quote karo. 3. Teen qism ke masle alag alag batao: NIKAL DO, CHHOTA KARO, JAGAH BADLO. Har cheez hatana nahi hoti, kuch cheezen bas ghalat jagah par hoti hain. 4. Jo hissa boring hai magar ZAROORI hai, us ke liye batao ke us ke saath screen par kya dikhaya jaye taake banda ruka rahe. 5. Sab se bara masla aik hi batao — agar main sirf aik cheez theek kar sakoon to kaun si. 6. Aur aik baat jo log bhool jate hain: agar script mein koi wada 2 minute se zyada dair tak poora nahi hota, to wahan aik chhota nateeja daalo. Batao kahan. RULES - Har nishan ke saath mera jumla quote karo. - Hatane, chhota karne aur jagah badalne mein farq karo. - Sab se bara masla aik batao. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. KAISA LAGNA CHAHIYE Aise likho jaise koi banda camera ke samne baat kar raha ho — article ki tarah nahi. - Jumlon ki lambai badalte raho. Aik lamba jumla, phir teen lafzon ka chhota. Sab jumle aik jitne lambe hon to parhne wale ko foran mehsoos hota hai ke yeh machine ne likha hai. Yeh sab se bari nishani hai. - Aik banda samne baitha hai — usay "aap" ya "tum" kaho. "Nazireen", "sameen", "hum sab" mat kaho. - Seedha matlab ki baat se shuru karo. Yeh shuruaat kabhi mat likho: "Aap ko yeh jaan kar hairani hogi", "Aaj ke is tez raftar daur mein", "Is mazmoon mein hum", "Doston, aaj hum baat karenge". - Ghol mol baat mat karo. "Yeh kaam karta hai" likho, "yeh shayad madadgar sabit ho sakta hai" nahi. - Zyada takalluf nahi. Jaise dost ko samjha rahe ho. - Emoji tab tak nahi jab tak main na kahoon. MUJHE YEH DO NIKAL DO — jumle ke saath. CHHOTA KARO. JAGAH BADLO. ZAROORI MAGAR BORING — screen par kya dikhayein. SAB SE BARA MASLA — sirf aik. WADA KAHAN POORA KARNA HAI. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.