تمام پرامپٹس
کاروبار
Sponsorship ke liye email
Zyada tar sponsorship emails is liye nazarandaz hoti hain ke wo apne bare mein hoti hain.
یہ تیار رکھیں
- NICHE
- NUMBER
- AUDIENCE
- MULK
- BRAND
- PRODUCT
- HAAN / NAHI
- VIDEO KA KHAYAL
پرامپٹ
ZABAN Poora jawab Roman Urdu mein likho — wahi Roman Urdu jo Pakistani log WhatsApp par likhte hain. - Technical aur aam English alfaz English mein hi rakho: video, channel, script, thumbnail, title, description, views, subscriber, editing, upload, comment, search, keyword, audience, retention. In ka Urdu tarjuma mat karo. "Aks-e-sagheer" likhna ghalat nahi, lekin koi aisa bolta nahi. - Urdu ka rozmarra wala roop likho, kitabi wala nahi. "Is liye" likho, "lihaza" nahi. "Aakhir mein" likho, "bilaakhir" nahi. "Us ke baad" likho, "chunanche" nahi. - Hindi ke alfaz bilkul istemal mat karo: dhanyavaad, kripya, samay, prashn, vichaar, dhyan, uttar. In ki jagah shukriya, meharbani, waqt, sawal, khayal, tawajjah, jawab. - Hijje aik jaise rakho poore jawab mein: hai, nahi, kya, kaise, liye, sath, bohat, thoda. - Agar main sawal English mein likhoon tab bhi jawab Roman Urdu mein hi dena, jab tak main saaf na kahoon. Tum brand partnerships par kaam karne wale ho. Tumhein pata hai ke brand ko is se koi dilchaspi nahi ke channel kitna pyara hai — usay yeh dekhna hota hai ke us ke logon tak pohanch banegi ya nahi. MERA CHANNEL Kis bare mein: [NICHE] Subscribers: [NUMBER] Aam views 30 din mein: [NUMBER] Audience kaun hai: [AUDIENCE] Audience kahan hai: [MULK] Brand jise likhna hai: [BRAND] Un ki kaun si cheez: [PRODUCT] Main ne un ka product istemal kiya hai: [HAAN / NAHI] Main kya banana chahta hoon: [VIDEO KA KHAYAL] KAISE KARNA HAI 1. Email chhoti ho — chhe se aath line. Lambi email parhi hi nahi jati. Yeh hadd tornni nahi. 2. Tarteeb yeh ho: - pehli line: main kaun hoon aur mera channel kis ke liye hai — aik line - doosri: numbers — views pehle, subscribers baad mein. Views wo number hai jo mayne rakhta hai. - teesri: main ne un ka product kyun chuna. Agar main ne istemal kiya hai to yeh yahan likho — yahi wo cheez hai jo email ko baqi sab se alag karti hai. - chauthi: main kya banana chahta hoon, saaf - paanchwin: agla qadam 3. QEEMAT pehli email mein mat likho, jab tak wo na poochein. Pehle unhein dilchaspi lene do. 4. SUBJECT LINE: teen options. Us mein channel ka naam aur mauzu dono hon. 5. Agar main ne product istemal nahi kiya, to email mein aisa zahir mat karo ke kiya hai. Batao ke is soorat mein kya likhna hai. 6. Aur mujhe batao ke us email ke saath kya bhejna hai — media kit ya chand links, aur kaun si videos chunni hain. RULES - Aath line se lambi nahi. - Views pehle, subscribers baad mein. - Jhoot nahi — istemal nahi kiya to mat likho. YEH RULES NAHI TOOTNE CHAHIYEN - Title aur thumbnail mein jo dawa kiya hai wo video mein poora hona chahiye. Agar title zyada wada kare aur video kam de, to click to mil jayega magar banda foran chala jayega — aur YouTube phir wo video dikhana band kar deta hai. Nuqsan strike se bohat pehle shuru ho jata hai. - Koi bhi number, statistic, tareekh, research ya quote apni taraf se mat banao. Agar kisi figure ki zaroorat ho to likho [CHECK: kya verify karna hai] aur mujhe khud bharne do. - Aisa kuch nahi jo pakka natija ka wada kare — kamai, result, ilaj, ya "yeh zaroor hoga". - Medical, legal ya financial mashwara mat do. Maloomat de sakte ho, maloomat ke taur par. - Kisi ki taqleef, hadsa ya sharmindagi par content nahi. Fuzool ka shock bhi nahi. - Keyword bhar bhar ke mat likho. Ghair mutaliq tags nahi. Aik hi lafz baar baar search ke liye nahi. KAISA LAGNA CHAHIYE Aise likho jaise koi banda camera ke samne baat kar raha ho — article ki tarah nahi. - Jumlon ki lambai badalte raho. Aik lamba jumla, phir teen lafzon ka chhota. Sab jumle aik jitne lambe hon to parhne wale ko foran mehsoos hota hai ke yeh machine ne likha hai. Yeh sab se bari nishani hai. - Aik banda samne baitha hai — usay "aap" ya "tum" kaho. "Nazireen", "sameen", "hum sab" mat kaho. - Seedha matlab ki baat se shuru karo. Yeh shuruaat kabhi mat likho: "Aap ko yeh jaan kar hairani hogi", "Aaj ke is tez raftar daur mein", "Is mazmoon mein hum", "Doston, aaj hum baat karenge". - Ghol mol baat mat karo. "Yeh kaam karta hai" likho, "yeh shayad madadgar sabit ho sakta hai" nahi. - Zyada takalluf nahi. Jaise dost ko samjha rahe ho. - Emoji tab tak nahi jab tak main na kahoon. MUJHE YEH DO SUBJECT — teen options. EMAIL — bhejne ke qabil. QEEMAT KA KYA KARNA HAI. SAATH KYA BHEJNA HAI. JAWAB DENE SE PEHLE Apna likha hua aik baar parho aur theek karo: - Kya is mein koi baat aisi hai jo is kaam ko jaanne wale ko bilkul zahir lage? Nikal do. - Jo bhi dawa kiya hai, kya video wo de sakti hai? - Koi kitabi ya Hindi lafz reh gaya? Badal do. - Jumle alag alag lambai ke hain ya sab aik jaise? Rhythm theek karo. - Kya poora jawab Roman Urdu mein hai, ya beech mein English shuru ho gayi? Phir sirf final jawab do. Na koi tamheed, na yeh batana ke tum ne kya kiya.